Aazadi

Ek aazadi to ye bhi hai, ki hum sab kisi me kaid hai; Humari har dor k ichor kisi ne to tham rakha hai.

Ek aazadi to ye bhi hai ki hum sab ne waqt ko khushiyon me kaid rakha hai;

Humari har muskurahaton ko kisi ne to yaad rakha hai.

Ek aazadi to ye bhi hai ki jo door hai unko bhi sath rakha hai;

Humari har soch se ho jo door unko bhi dil k paas rakha hai.

Ek aazadi to ye bhi hai ki humne apni zindgi ko sapno se jor rakha hai;

Humari har khwahisho ki hakikat, sapno ne soch rakha hai.

Ek aazadi to ye bhi hai ki hum sab kudh me hi kaid hai;

Humari har khamoshi ko kisi ne khamoshi me bol rakha hai.

Leave A Reply

Your email address will not be published.